Wednesday, July 28, 2010

Another..version..of..Sarfaroshi

Sar faroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai,
Dekhna hai zor kitna baazoo-e-qaatil main hai!
Rahraw-e-rah-e-mohabbat rah na jana rah mein,
Lazzat-e-sahra nawardi doori-e-manzil mein hai.
Yoon khara maqtal mein qaatil kah raha hai baar baar,
Kya tamanna-e-shahaadat bhi kisi ke dil mein hai
Waqt aane par bata denge tujhe ai aasmaan,
Hum abhi se kya bataaen kya hamaare dil mein hai.
Ai shaheed-e-mulk-o-millat tere jazbon par nissar,
Teri qurbaani ka charcha ghair ki mehfil mein hai.
Kheinch kar laai hai sabko qatal hone ki umeed,
Aashiqon ka aaj jamghat koocha-e-qaatil mein hai.
Ek se karta nahin koi doosra koi bhi baat,
Dekhta hoon main jise woh chup tiri mehfil mein hai.

Translation:
We are now raring to die for our country's sake
Let's see how much of strength the assassin can display!
O traveller on the path of love, do not drop mid-way,
It is the distance of the goal that glorifies the chase.
Standing by the gallows the hangman makes a call,
Come, if there be any, by the martyr's zeal enthralled.
We'll tell you all, O sky, wait till the time arrives,
How can we at this stage, our secret plans unveil?
O martyrs in the nation's cause, kudos to your sacrifice.
Even in the enemy camp they talk of you with praise.
Fired by patriotic fervour, many a maddened youth
Has gathered at the crossing, itching for the cross.
Why are they mute and silent? no whisper, no talk,
Everyone that I see has got his lips locked.
 

No comments:

Post a Comment